Yoon to apne hi ashkon mein beh gaya hoonPhir bhi yaro
Yoon to apne hi ashkon mein beh gaya hoon.
Phir bhi yaro tanha – tanha reh gaya hoon.
Ban gaya mohtaj dil unki nazer ka ;
mai fakeer -e- yaar banke reh gaya hoon.
Zindagi ki shakl mein hai ek bejaan ;
toota dil hai jann fanah mein lut gaya hoon.
Hona to wahi hai jo wo chahega ;
Mai to bus kirdar banke reh gaya hoon.
Jakhmi to dono hue baraber thay;
wo chal wasa aur mai tadapta reh gaya hoon.
Ro padata hoon bus jara si baat per;
Shayad mai thoda sa naadaan reh gaya hoon.
Ishk teri dooriyaa subhanallah ;
pas aya tauba karke reh gaya hoon.
Ek daur tha mai bhi bada khuddar tha ;
Per kya karun majboor banke reh gaya hoon.
Ye haal hai naakam hoker ishk mein;
Jaise koi maat khaker reh gaya hoon.
Hara bhi to apne dil se mastghan ;
Apne hi paase mein fansker reh gaya hoon .
Posted under