25 Jul

raat aaii to teri yaad ke jugnoo bolephir meri aankh ma

raat aaii to teri yaad ke jugnoo bole
phir meri aankh mai soye huway aansu bole

youn khayalon mai tere lehje ki narmi aaye
tu na bole to teri aankh ka jaadoo bole

hai khamoshi mai bhi andaaz ek takallum us ka
kabhi aankhain, kabhi chehra, kabhi baazoo bole

raat sunsaan hai shabnam kisi jangal ki tarhan
koi aaseb hi aaye, koi jaadu bole