25 Jul

Mohabat Ke Wazahtain Umer Bhar Mujh ko Muha

~~**-Mohabat Ke Wazahtain-**~~

Umer Bhar Mujh ko Muhabat ki Wazahtain Talb Rahin
Jo na mill sakin mujhe wo chahtain talb rahin
kahan koi saath chalta hai nangay paaon
zindgi bhar jiss ko rahtain talb rahin
wo juda bhi ho gia her talaq toor ker
phir bhi meray khalaf usko shahadtain talb rahin
wo badla mousam badla,zamana hi badl gia
usko abb bhi bachpan ki aadtain talb rahin
her kaam duaoon per munhasar honey laga Aleem
Khuda ko bhi hum se abadtain talb rahin