25 Jul

Mera MuqadarDeer Hoi Jab Main Chota Sa Ik larrka ThaaM

Mera Muqadar:

Deer Hoi Jab Main Chota Sa Ik larrka Thaa

Mujh Ko Rah Main Ik Jogi Ne Roka Thaa

Tere hath ki rekha dekhna chahta hoon

Jo mathay pe likha dekhna chahta hoon

Pehlay es ne dekha meri hatheli ko

Jaise koi bojhay kisi paheli ko

Pehlay to kuch deer mujhay wo dekhta raha

Phir us ne ik aah bhari or kehne laga

Balik yeh jo tere hath ki rekha hay

Main ne is main tera jivan dekha hay

Tera mann ik sunder nari torre gi

Aik bhee sapna tere pass na chorre gi

Roo roo k to apna hath barrhay ga

Lakin chanda tere hath na aay ga

Jay ga darwaze darwaze aas liy

Mar jay ga naddi kinare piyas liy

Balik tujh pe aisa waqat bhee aana hay

Loog kahain gay pagla hay dewana hay

Balik teri rawesh mainyeh hona hay

Too ne appni naw app dabona hay

Gham ka aiysa sath nahi dekha hay kabhi

Main aiysa hath nahi dekha hay kabhi

Dukh hi dukh tere hissay main aaya hay

Balik! Yeh too kiya likhwa ker laya hay