Aisay To Na Aya Hoga
Yeh Toofan Aisay To Na Aya Hoga,
Kisi Ne To Isay Sataya Hoga,
Lagta Hai Kuch Aisa Hua Hoga,
K Apna Sadar Samandar Main Nahaya Hoga..!
Yeh Toofan Aisay To Na Aya Hoga,
Kisi Ne To Isay Sataya Hoga,
Lagta Hai Kuch Aisa Hua Hoga,
K Apna Sadar Samandar Main Nahaya Hoga..!
Lamha Lamha waqt guzar jayega
Rooh ka jism se rishta toot jayega
Abhi waqt hai 2 4 sms kar do
Kal ka kya pata kis ka
kb
Mobile pani main beh jayega
HAPPY TOOFAN
Jab Yad Ka Angn Kholon To
Kuch Dost Bht Yad Aty Hen
Me Guzry Dino Ko Sochon To
Kuch Dost Boht Yad Aty Hen
Ab Jany Kis Nagri Me,
Soye Pari Hy Mudat Sy
Me Raat Gye Tak Jagon To,
Kuch Dost Bht Yad Aty Hen
Kuch Baten Theen Pholon Jesi,
Kuch Khushbo Jesy Lehjy Thy
Me Shehr-E-Chaman Me Tehlon To
Kuch Dost Bht Yad Aty Hy
Wo Pal Bhar Ki Narazgian Or
Maan B Jana Pal Bhar Me
Me Khud Sy Jb B Rothun To
Kuch Dost Boht Yad Aty Hain:-)
Bohat “Khush Naseeb”kal ki “RAAT”Guzri,
Kuch”Tanha” par kuch “Khaas” Guzri,
Na”Neend”aaie na “Khuwab”koi,
Bas”Tere” “Khayalon”ke saath Guzri,
Kash tum DEKH sakty…
Tuty huy dil ko
Behty huy ansuon ko
Is adhury mosam ko
Kash Tum PARH sakty…
Mery hathon ki lakeron ko
Khawabon ki taberon ko
Dil k afsanon ko
Kash Tum SaMJH Sakty…
Mery lafzon ki gehrai ko
Honton ki sachai ko
Mehfil ki tanhai ko
Kash tum JORR sakty…
Iss DIL ko.. ..
Iss RISHTY ko.. ..
Iss WADY ko.. ..
Lekin ye soch kr khamosh ho jata hun.. ..
KASH .. .. Tum JAN sakty is MOHABAT Ko……KASH
KAASH
Salon bad najane kia sama hoga,
Hm sb doston me se najane kon kha hoga,
Phr milna hua to milenge khuwabo me
Jese sukhe gulab milte hain kitabon me!
Dil k chaman main phool khila
Tum sa mujhye mehboob mila
Ab aur KHUDA se kiya mangon
Kiya mangon
Tum ho meri chahat ka silah
Tum sa mujhye mehboob mila
Ab aur KHUDA se kiya mangon
Kiya mangon
Aankhon main khushi lahrane lagi
Mujhye tum se haya si ane lagi
Jo chaha tha main ne pa hi liya
Is dil ne tumain apna hi liya
Kabhi aanchal lahraon
Kabhi khud pe itraoun
Kaise khushi chupaoun
In aankhon se kyun na pyar karon
Kyun tum se na main ikraar karon
Dil jis ka diwana woh tum hi to ho
Jine ka bahana tum hi to ho
Aankhon main dekho to
Mere dil se poucho to
Kaise tumain bataon
Dil k chaman main phool khila
Tum sa mujhye mehboob mila
Ab aur KHUDA se kiya mangon
Kiya mangon
Mera Muqadar:
Deer Hoi Jab Main Chota Sa Ik larrka Thaa
Mujh Ko Rah Main Ik Jogi Ne Roka Thaa
Tere hath ki rekha dekhna chahta hoon
Jo mathay pe likha dekhna chahta hoon
Pehlay es ne dekha meri hatheli ko
Jaise koi bojhay kisi paheli ko
Pehlay to kuch deer mujhay wo dekhta raha
Phir us ne ik aah bhari or kehne laga
Balik yeh jo tere hath ki rekha hay
Main ne is main tera jivan dekha hay
Tera mann ik sunder nari torre gi
Aik bhee sapna tere pass na chorre gi
Roo roo k to apna hath barrhay ga
Lakin chanda tere hath na aay ga
Jay ga darwaze darwaze aas liy
Mar jay ga naddi kinare piyas liy
Balik tujh pe aisa waqat bhee aana hay
Loog kahain gay pagla hay dewana hay
Balik teri rawesh mainyeh hona hay
Too ne appni naw app dabona hay
Gham ka aiysa sath nahi dekha hay kabhi
Main aiysa hath nahi dekha hay kabhi
Dukh hi dukh tere hissay main aaya hay
Balik! Yeh too kiya likhwa ker laya hay
Aankhon Main Baaqi Reh Gaye, Ab Teray Khad-o-Khaal Se
Lub Pe Hain Kuch Sawal Se, Dil Main Hain Kuch Malaal Se
Tu Jo Gaya To Yuun Laga, Tanha Hoon Kainaat Main
Raatain Thaki Thaki Meri, Din Bhi Meray Nidhaal Se
Itne Qareeb Hoon Teray, Rasta Na Wehem Ko Milay
So‘un Teray Hisaar Main, Jagoon Teray Jamal Se
Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal
Aatay Ho Jab Khayal Main, Jatay Nahi Khayal Se
Tujh Si Hasee‘n Ghazal Koi, Mujh Sa Ghazal Sara Koi
Dunia Main Ho Ager Kaheen, Waazeh Karo Misaal Se
Uss Se Gila Ay Dosto, Itna Sa Hai Ke Wo Mujhe
Samjha Nahi Hai Aaj Tak, Ghaafil Hai Meray Haal Se ..
Yoon to apne hi ashkon mein beh gaya hoon.
Phir bhi yaro tanha – tanha reh gaya hoon.
Ban gaya mohtaj dil unki nazer ka ;
mai fakeer -e- yaar banke reh gaya hoon.
Zindagi ki shakl mein hai ek bejaan ;
toota dil hai jann fanah mein lut gaya hoon.
Hona to wahi hai jo wo chahega ;
Mai to bus kirdar banke reh gaya hoon.
Jakhmi to dono hue baraber thay;
wo chal wasa aur mai tadapta reh gaya hoon.
Ro padata hoon bus jara si baat per;
Shayad mai thoda sa naadaan reh gaya hoon.
Ishk teri dooriyaa subhanallah ;
pas aya tauba karke reh gaya hoon.
Ek daur tha mai bhi bada khuddar tha ;
Per kya karun majboor banke reh gaya hoon.
Ye haal hai naakam hoker ishk mein;
Jaise koi maat khaker reh gaya hoon.
Hara bhi to apne dil se mastghan ;
Apne hi paase mein fansker reh gaya hoon .