Chaar Tinke Jala Ke Kya Mil GayaMit Sakana Zamane Se M
Chaar Tinke Jala Ke Kya Mil Gaya,
Mit Sakana Zamane Se Mera Nishaan.
Mujhpe Bijli Girao To Jaanu Sahi,
Aashiaan Par Girane Se Kya Faaida.
Chaar Tinke Jala Ke Kya Mil Gaya,
Mit Sakana Zamane Se Mera Nishaan.
Mujhpe Bijli Girao To Jaanu Sahi,
Aashiaan Par Girane Se Kya Faaida.
Kya Kahoon Aapse Kitni Umeeden Thi,
Aap Kya Badle Duniya Badal Si Gayi.
Aasra De Ke Dil Tod Te Hain Mera,
Is Tarah Sataane Se Kya Faaida.
Kismat par etabar kisko hain
Mil jaye khusi inkar kisko hain
Kuch majbooriya hain mere dost
Warana judai se pyar kisko hain
Kal na phir ye samaa hoga,
Hum mein se kaun najaane kahaan hoga..?
Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein,
Par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga….
Dost dost se khafa nahi hota,
Pyaar pyaar se juda nahi hota.
Bhula dena meri kamiyon ko,
Kyunki insaan kabhi Khuda nahi hota…
Ye safar Dosti ka kabhi khatm na hoga,
Wada to nahi karte dosti nibhaynge,
Koshish yahi rahegi apko nahi satayenge,
Zarurat pade to dilse pukarna,
Marte bhi honge to mohlat lekar aayenge
Baatein teri uttarti hain Dil main Qaraar ban ke
Pyaar tera barasta hai mujh par phuwaar ban ke
Duniya sitam kare mujh par parwaah nahi mujhe
Pyaar tera rehta hai mere gird hisaar ban ke
Jazbe sache the jo mil gaye hum dono
Duniya laakh aayi darmiyaan dewaar ban ke
Zor koi Dil per apna ab chalta nahi hai
Pyaar main tere reh gaye be ikhteyaar ban ke
Ye Kya Haal Bana Liya Hai Tumne Apna?
Ab Us Ka Bhi Ye Haal Ho
Ye Zaruri To Nahi
Haari Hai Tumne Baazi Muhabbat Ki
Zindagi Ki Bhi Baazi Haar jaao
Ye Zaruri To nahi
Us Pal Muhabbat Par Bahut Naaz tha Tumko
Ab Har Pal Ye Dohraao
Ye Zaruri To Nahi
Zinda Reh Kar Bhi Rasm-e-Muhabbat Ada Ho sakti Hai
Ab Mar Kar hi Ye rasam Nibhaao
Ye Zaruri To nahi
Kabhi Kisi Se Muhabbat na Karna
Ese Naseehat Mat Dia Kar Yara
Jo Tere Sath hua Ho Wo mere sath Bhi HO
Ye Zaruri To nahi
Zindagi k Safar Me Har Musaafir Khwaab Dekhta hai
Ab Dost Tera Bhi Khwaab Puura Ho
Ye Zaruri To Nhai…
Yeh mat sochna ki hum bhool jayenge tuemhe, Door rehkar bhi hamesha
chahenge tumhe,Agar Dost bankar raas na aaye to
Bhoot bankar darayenge tumhe
Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya
jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya..
umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat.
do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya !
apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehney diya
Raat kya dhali , sitare chale gaye
Gairon se kiya gila ,to apne chale gaye
jeet to sakte the hum ishq ki baazi ,
par aap jit-te gaye hum har-te chale gaye
Kuch khwab khwab reh jaate hai
kuch sapne adhure reh jaate hai
chahat ka wada wafa ki kasmein
kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai
tujhse milna tujhe paane ki aarzoo
kuch khwahishein hasratein reh jaati hai
tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe
maazi k faqt yaadein reh jaati hai.
Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe gum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo