25 Jul

Yeh lamha fikrogham ka guzer kyun nahi jata Akhir ko

Yeh lamha fikr-o-gham ka guzer kyun nahi jata

Akhir ko hai pe‘mana bhar kyun nahi jata

Aata hey kuch yaqeen mager badguman bhi hoon

Maazi se jo mila hey, asar kyun nahi jata

Usney baree khuloos sey yeh kehdiya

Jeena hey nagawar to marr kyun nahi jata

Nakaam hasraton ka tasalsul nahi toota

Jane mager yeh shouq-e-safer kyun nahi jata

Mana key is qader nahi per kuch to hey

Woh shakhs khayalon se utar kyun nahi jata …