25 Jul

Woh apna to hai par usay apna keh nahi sakta woh ik pal

Woh apna to hai par usay apna keh nahi sakta
woh ik pal ko bhi rothe main seh nahi sakta.
Pyar jitna bhi ho pyar hee rehta hai
samandar kabhi nadee main beh nahi sakta
Jo aaj hai us main he khush raho usko hi jiyo
kal kaisa ho aur kia ho koe kuch keh nahi sakta.
Woh mujhe milay na milay yeh baat sach hai
main uske bina woh mere bina reh nahi sakta