25 Jul

Bay qarar mausam mayYaad k jharokon sayPhir Tum hi sy

Bay qarar mausam may
Yaad k jharoko`n say

Phir Tum hi sy milnay ki
Dil may kitni khawahish hai
Jo udaas rakhti hai

Aaj kal decemeber ki
Phir udaas shaamein hain

In ujaarr aankho`n may
Zard zard raatein hain

Barishon k mausam may
Toot phoot jata hoon

Jab bhi yaad aatay ho
Khud ko bhool jata hoon…..!