25 Jul

Baatein teri uttarti hain Dil main Qaraar ban ke Pyaar

Baatein teri uttarti hain Dil main Qaraar ban ke
Pyaar tera barasta hai mujh par phuwaar ban ke

Duniya sitam kare mujh par parwaah nahi mujhe
Pyaar tera rehta hai mere gird hisaar ban ke

Jazbe sache the jo mil gaye hum dono
Duniya laakh aayi darmiyaan dewaar ban ke

Zor koi Dil per apna ab chalta nahi hai
Pyaar main tere reh gaye be ikhteyaar ban ke