25 Jul

Jab yaad ka album kholoon toKuch log bohat yaad atay ha

Jab yaad ka album kholoon to
Kuch log bohat yaad atay hain.

Main apna bachpun sochoon to
Kuch log bohat yaad atay hain.

Ab jaanay ks nagry main ja kr abaad hain ek mudat se
Main raat gaey tk jaagoon to
Kuch log bohat yaad atay hain.

Kuch baatain thein phoolon jaisy
kuch lahjay khusboo jaisay they
Main shehr-e-chaman main tehloon to
Kuch log bohat yaad atay hain.

wo pal bhar ke naraazgian aur maan b jana pal bhar main
Ab khud se jb b roothon to kuch log bohat yaad atey hain.